About Me

header ads

Zaroori Tha Song Lyrics in English & Hindi | ज़रूरी था गाना लिरिक्स - By Rahat Fateh Ali Khan

Zaroori Tha (ज़रूरी था) is the song sung by Rahat Fateh Ali Khan starring Kushal Tandon, Gauhar Khan & Rahat Fateh Ali Khan.


Zaroori Tha Song Details:

Singer: Rahat Fateh Ali Khan




Zaroori Tha Song Lyrics In English:

Lafz kitne hi tere pairon se lipte honge
Tune jab aakhiri khat mera jalaya… hoga
Tune jab phool, kitabon se nikaale honge
Dene waala bhi tujhe yaad toh aaya hoga

Teri aankhon ke dariya ka
utarna bhi zaroori tha
Mohabbat bhi zaroori thi
Bichadna bhi zaroori tha
Zuroori tha ki
Hum dono tawaaf-e-aarzoo karte
Magar phir aarzu’on ka
bikharna bhi zaroori tha
Teri aankhon ke dariya ka
utarna bhi zaroori tha

Bataao yaad hai tumko
Woh jab dil ko churaya tha
Churaai cheez ko tumne
Khuda ka ghar banaya tha
Woh jab kehte thhe
Mera naam tum tasbih mein padhte ho
Mohabbat ki Namaazo ko
qara karne se darte ho
Magar ab yaad aata hai
Woh baatein thi mahaz baatein
Kahin baaton hi baaton mein
Mukarna bhi zaroori tha
Teri aankhon ke dariya ka
Utarna bhi zaroori tha

Wahi hai sooratein apni
Wahi main hoon, wahi tum ho
Magar khoya huaa hoon main
Magar tum bhi kahin gum ho
Mohabbat mein dagha ki thi
So kaafir the so kaafir hain
Mili hain manzilein phir bhi
Musaafir thhe, musaafir hain
Tere dil ke nikaale hum
Kahaan bhatke, kahaan pahunche
Magar bhatke toh yaad aaya
Bhatakna bhi zaroori tha
Mohabbat bhi zaroori thi
Bichhadna bhi zaroori tha
Zaroori tha ki
Hum dono tawaaf-e-aarzoo karte
Magar phir aarzu’on ka
Bikharna bhi zaroori tha
Teri aankhon ke dariya ka
Utarna bhi zaroori tha

ज़रूरी था गानेके लिरिक्स हिंदी में (Zaroori Tha Song Lyrics In Hindi):


लफ्ज़ कितने ही तेरे पैरों से लिपटे होंगे
तूने जब आख़िरी खत मेरा जलाया होगा
तूने जब फूल किताबों से निकाले होंगे
देने वाला भी तुझे याद तो आया होगातेरी आँखों के दरिया का
उतरना भी ज़रूरी था
मोहब्बत भी ज़रूरी थी
बिछड़ना भी ज़रूरी था
ज़रूरी था की हम दोनों
तवाफ़े आरज़ू करते
मगर फिर आरज़ूओं का
बिखरना भी ज़रूरी था
तेरी आँखों के दरिया का
उतरना भी ज़रूरी था
बताओ याद है तुमको
वो जब दिल को चुराया था
चुराई चीज़ को तुमने
ख़ुदा का घर बनाया था
वो जब कहते थे
मेरा नाम तुम तस्बीह में पढ़ते हो
मोहब्बत की नमाज़ों को
कज़ा करने से डरते हो
मगर अब याद आता है
वो बातें थी महज़ बातें
कहीं बातों ही बातों में
मुकरना भी ज़रूरी था
तेरी आँखों के दरिया का
उतरना भी ज़रूरी था

वही हैं सूरतें अपनी
वही मैं हूँ, वही तुम हो
मगर खोया हुआ हूँ मैं
मगर तुम भी कहीं गुम हो
मोहब्बत में दग़ा की थी
सो काफ़िर थे सो काफ़िर हैं
मिली हैं मंज़िलें फिर भी
मुसाफिर थे मुसाफिर हैं
तेरे दिल के निकाले हम
कहाँ भटके कहाँ पहुंचे
मगर भटके तो याद आया
भटकना भी ज़रूरी था
मोहब्बत भी ज़रूरी थी
बिछड़ना भी ज़रूरी था
ज़रूरी था की हम दोनों
तवाफ़े आरज़ू करते
मगर फिर आरज़ूओं का
बिखरना भी ज़रूरी था
तेरी आँखों के दरिया का
उतरना भी ज़रूरी था

Post a Comment

0 Comments